Movie : Jahan Ara (1964)
Singer : Asha Bhonsle, Lata Mangeshkar
Lyrics : Rajinder Krishan
Music : Madan Mohan
Starring : Bharat Bhushan, Mala Sinha
Comments : Picturized on Minoo Mumtaz and Aruna Irani
main teriii nazar kaa suroor hooN tujhe yaad ho ki na yaad ho
tere paas rah ke bhii door hooN tujhe yaad ho ki na yaad ho
terii zulf hai meraa haath hai ki tuu aaj bhii mere saath hai
tere dil meN maiN bhii zuroor hooN tujhe yaad ho ki na yaad ho
jab jab tumheN bhulaayaa tum aur yaad aaye
jaate nahiiN haiN dil se ab tak tumhaare saaye
jab jab tumheN bhulaayaa
tum se bichhaR ke ham ne dil ko bahut sambhaalaa
gul_shan meN ye na bahalaa saharaa meN bhii sataaye
tum aur yaad aaye
jab jab tumheN bhulaayaa
chhaaye rahe nazar meN terii zulf ke andhere
ka_ii aftaab chamake ka_ii chaaNd jagamagaaye
tum aur yaad aaye
marane kii aarazoo meN ham jii rahe haiN aise
jaise ke laash apanii Khud hii ko_ii uThaaye
tum aur yaad aaye
jab jab tumheN bhulaayaa tum aur yaad aaye
jaate nahiiN haiN dil se ab tak tumhaare saaye
jab jab tumheN bhulaayaa