Movie : Hanste Zakhm (1973)
Singer : Lata Mangeshkar
Lyrics : Kaifi Azmi
Music : Madan Mohan
Starring : Priya Rajvansh, Navin Nischol
aaj sochaa to aaNsoo bhar aaye
muddateN ho ga_iiN muskuraaye
har qadam par udhar muR ke dekhaa
un kii mahafil se ham uTh to aaye
dil kii naazuk rageN TooTatii haiN
yaad itanaa bhii ko_ii na aaye
rah ga_ii zindagii dard ban ke
dard dil meN chhupaaye chhupaaye